Play Store Se New Apps Aur Game Kaise Download Kare.
Friends aj is post mein main ap dostoon ko bataon ga k play store pr jb bhi koi new apps ya game aate hain to us ka hamein kaise pata chale ga aur us k bad new apps ya game kaise download karte hain esi liye ager ap ko bhi Jan,na hai is k bare mein to is post ko last tk zaror parhna.
Friends ager ap aik YouTuber hain to ap k liye ye Jan,na aur bhi zarori ho jata hai q k YouTube pr ziyada tar YouTuber technical hain is liye ye ho sakta hai ap bhi un mein se aik hon.to aise mein hr YouTuber chahta hai k wo sb se pahle play store ki new apps aur game k bare mein video banaey ya un k reviews Kare ta k wo ziyada se ziyada logo ko apne channel k sathh jor sake ya apne subscriber badaha sake.
So ager ap bhi aik YouTuber hain to ap k liye aur bhi zarori ho jata hai is k elawa ager ap aik normal Android user hain to tab bhi ap ko is k bare mein pata hona bahot zarori hai.ta k ap ko Android mobile k liye new apps aur game k bare mein pata chalta rahe aur ap sb se pahle un new apps aur games ko use kr sakey.
To abhi chal,te hain apne tapik ki taraf aur bat karte hain k kaise play store se new apps ya games ka kaise pata karte hain ya unhe kaise download install karte hain.
is se pahle ap ko apne mobile mein play store ko open karna hai,us k bad Google play store ka home page ap k Sam,ne is tarah se open ho ga.
Yahan pr ap ko uper green lable mein kochh categorize nazar aey gi.ap ko in categorize ko left side mein drag krna ho ga us k bad unhhi leble mein ap ko aik leble Early Access ka mile ga ap ko us pr click karna hai,us k bad ap k samne kochh is tarah ka page open ho ga.
New Arrivals
Yahan pr ap un apps aur games ko dekh sakte hain Jo abhi abhi play store pr upload hoi hain.
Apps in Development
Yahan pr ap un apps ko dekh sakte hain Jin ka abhi kam chal raha hai ya abhi development mein chal rahi hain aur kochh hi time mein completely tayar ho jaey gi.
Game Development
Yahan pr ap un games ko dekh sakte hain Jin ka abhi kam ya development chal raha hai aur kochh hi time mein completely tayar hone wali hain.
Ager ap in mein se kisi bhi apps ya games ko download karna chahe to kr sakte hain.is k liye ap ko jis app ya game ko download karna hai us pr ap ko click karna ho ga.us k bad ap k sam,ne aisa page open ho jaey ga.
Yan pr ap dekh sakte hain k aik green leble mein likha hai k , This App is in Development, it maybe unstable. is ka Matlab hai k is apps ya games ka abhi kam chal raha hai.is liye ho sakta hai k ap jb esay use Kare to ye theek tarah se kam na Kare.lakin ap fiker na Kare ap jis bhi app ya game ko download kare gey wo kochh hi time mein completely tayar ho jaey gi us k bad ap us app ya game ko use kr paey gey.
Friends waise to ap in mein se kai apps aur games ko download kr k unhhe usi time use kr sakte hain.lakin un mein se koi apps ya games aise bhi hote hain Jin ka kam Yani development us time tk complete nahi howa hota hai.is liye ap unhhe download to kr lete hain pr usi time use nahi kr sakte.
Ager ap aise kisi apps ya games ko apne mobile mein install karte hain to wo ap k mobile mein asani se install ho jaey ga aur jb us apps ya games ka kam pora ho jaey ga to ap ko aik notification mil jaey ga k ab is app ya game ka Kam pora ho gaya hai aur ab ap is app ya game ko mokamal istemal kr sakte hain.
To is Tarike se ap play store pr aaney wale new apps aur games ka pata laga sakte hain aur unhhe apne mobile mein download install kr sakte hain.
Ager ap ko kisi cheez ki samanjh na i ho to ap comment kr k pochh sakte hain.
To dosto umeed karta hon ye post ap k liye help full sabit ho gi ager ye post ap ko achhi lage to ap apne dostoon k sathh share zaror karna.
To milte hain next post mein tab Tak k liye Allah Hafiz.